Kyun Banaate Ho Bahane
Hum Itne Bhi Na Anjane
Logon Se Aksar Hi Humne
Sune Tere Afsane
Apne Gunaahon Se Tauba
Aise to Na Muh Modiye
Aji Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye
Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye
Tum Jo Jhooth Mooth Si
Aankhin Bhar Lete Ho
Hairaan Hoon Main
Aisa Kaise Kar Lete Ho
Kapdon Ki Tarah Roz Badalte Ho Rishte
Auron Pe Na Jaane Kaise Mar Lete Ho
Hum Ro-Ro Ke Bharte Aahein
Tum Milate Nahi Nigaahein
Kya Lene Aaye Ho Ab Tum
Hum Tumko Na Ab Chaahein
Azad Ho Tum Jaake Gairon Sang
Shauk Se Nata Jodiye
Aji Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye
Haan Achchhi Hai Surat
Par Dil Ke Tum Gande Ho
Ishq Farebi Ke
Tum Karte Dhande Ho
Kayi Sare Kirdaron Mein Jeete Ho Tum
Kya Kehne Tumhare Kalakaar Bante Ho
Bholi Si Aankhon Se Dil Mein Utarte Ho
Apna Banate Ho Phir Qatl Karte Ho
Beimani to Hai Ji Fitrat Tumhari
Naapak Ho Tum Khuda Se Na Darte Ho
Jisko Milte Ho Usi Ke Ho Jate Ho
Kitne Dilon Pe Tum Khanjar Chalate Ho
Aaine Mein Khud Ko Jab Dekhte Ho
Khudaya Khud Se Kaise Nazrein Milate Ho
Tauba Jo Itne Dilon Ko Dukhaoge
Aah Milegi Na Tum Chain Paaoge
Kabhi Tumne Bhi Yeh Socha to Hoga
Khuda Paas Jane Kya Muh Leke Jaaoge
Chhodo Aise Besharmi Se
Na Hath Wath Yoon Jodiye
Aji Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye
Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye
Aji Chhodiye Ji Chhodiye
Yeh Baat Yahin Par Chhodiye
Tum Dil Todne Aaye Ho
Hum Hazir Hai Ji Todiye.