دانلود آهنگ هندی King به نام Ektarfa + متن آهنگ
Ektarfaخرداد 18, 1401
1537
0
موزیک ویژه
حتما موقع دانلود آهنگ های هندی فیلترشکن خود را خاموش کنید
خرداد 18, 1401
1537
0
Tu phirse paas aa main zidd nahi karunga Tu phirse door jaa main kuch nahi kahunga Joh tere jaane se me betha hun mehkhane me Mein kha chuka hun dhoka peene se nahi marunga
Joh tujhse seekha hu, tujh hi pe toh likhunga Joh tujhko chahunga,tujh hi pe toh mitunga Joh haske aunga main phir se tere saamne Hu napasand bata diyo main phir nahi dikhunga
Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi Maine dekha tune koshishe bahoot kari Kehe joh tujhko apne hathon se saaja dun Hain kaami tu pehne bahoot Phir bhi lagta kyu saaji nahi
Aaj bhi aise dekhe maine daayre nahi Ke tujhse baant lun me khudko Kehdun aa rahe nahi, hain tujhse milne
Bewafa hi the joh haske keh diya Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi
Joh phirse dekha meri ruk chali kalam thi Dil dhadakta, aankhein bheegi, baatein tang thi Joh tujhko socha mera poora ek janam thi Jab tujhko dekha kisi aur ki sanam thi
Dil toh dukhta hain par jeena padhta hi hain Sooraj se chaand bhi akele ladta hi hain Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hain Joh kardein fasla toh pyar badhta hi hain
Gaane toh chaal rahe par baat teri meri hain Chirag bujh gaye par raat teri meri hain Hua woh ek na joh saath janam ka vaada tha Toh is saadi main jaana kya aukat teri meri hain?
Maana main sab hi kuch jeeta kuch bhi haara na Par jisko hara usko dekha phir dubara na Joh dhas gaya hun jake raet me main ankhon tak Tu hain samundar mujhpe boond ka sahara naa
Naa mujhse puch mere hal kya sitaaro ka Naa dum tu kha yeh aake noto ki diwaron ka Hain paisa kya tu chhoti baatein naa kiya kar Main bas pyar se gareeb mujhko mol naa hazaro ka
Joh mujhse puchh le tu rasta baharon ka To haske kehdu tu nazara meri ankhon ka Main jisko kosne chala hunn uska nam yaad Phir bhi likh naa paana dosh kaam hain gawaron ka
Joh tujhko dekha aasma me chand tha nahi Kahin pe chhup gaya ke kehta lagta nahi Isse haseen maine dekha kahi kuch ke Log yun hi likhte rehte mujhpe aye khuda me chand nahi
Yeh tere reshmi joh baal jaal saazi hain Maara nahi par jeete ji tu meri faansi hain Daba nahi gala kyun saansein meri ghut rahi Main kya hi dun saza jaa teri har saza hi maafi hain
Mujhe khabar nahi tu kis zuban me razi hain Dikhe asar nahi tu kis duaa me baaki hain Agar kabhi main tere saamne se guzru Mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hain
Ektarfa main nam bhi bana lunga Ektarfa mein nam bhi chhupa lunga Ek arsa joh beete teri yadon mein Main hoke mashhoor tujhpe zindagi loota dunga