Kasturi si hai,
Aadat tumhari,
Laage lage nahi,
Chhute chhudaye.
Pani mein jaise,
Jhulta namak hai,
Hain mujh mein tu,
Bas nazar nahi aaye.
Dhaage bina tujhse,
Rooh jud gayi hai,
Khwabon mein bhi hai,
Teri silsile daariya.
Ek aisa haal tera mera,
Ishq hai misaal tera mera,
Bahne lagi hai aaj dekho,
Reton pe bhi kashtiya.
Ek aisa haal tera mera,
Ishq hai misaal tera mera,
Sajne lagi hazaaron khawbon se,
Khali thi jo kabhi palkon ki bastiyan.
Rab ne banaye hai rang itne,
Teri wafaa ka rang sabse surkh hai,
Jitni dafa na dhadka hai ye dil,
Utni dafa yaar tera zikr hai.
Aage tere na nazar koi aaye,
Mujhpe chale sirf teri manmaaniyan.
Ek aisa haal tera mera,
Ishq hai misaal tera mera,
Sajne lagi hazaaron khawbon se,
Khaali thi jo kabhi palkon ki bastiyan.
Ek aisa haal tera mera,
Ishq hai misaal tera mera,
Sajne lagi hazaaron khawbon se,
Khali thi jo kabhi palkon ki bastiyan.