Khali baitha hoon to aati tu khayalon mein
Tu hi hai kya woh fass gaya sawalon mein (yeah)
Darta yeh dil tujhe khone se (aa.. khone se)
Aa.. darta yeh dil tujhe khone se (khone se)
Darta yeh dil tujhe khone se
Tu chahiye.. fark nahi kisi ke na hone se
Tamanna hai jo iss dil mein
Kise nazar woh aata nahi
Aa.. tune bulaya nahi
Fir bhi yeh banda jaata nahi (jaata nahi)
Sab type ke gaane bana leta main
Aur kisko yeh aata nahi (aata nahi)
Kisko bhi aara nahi melody mujh jaisa
Isliye koyi gaata nahi (hai kya koyi?)
Asal haalaton mein likhta hoon
Tere siwa kisi ko nahi milta hoon
Main dekh ke kadam rakhta life mein tu thi karke
Warna main nahi fisalta hoon (kabhi nahi)
Jyada matt soch, chal abhi tu chill kar
Dooriyan mita de milkar (milkar)
Tera hi asar yeh dil par, tu samjhi kya dilbar?
Haan mujhe pyaar hai,
Sir pe tu sawar hai
Maanta nahi haar kyonki
Tu hi sabse hard hai (haan, tu hi sabse hard hai)
Haan mujhe pyaar hai,
Sir pe tu sawar hai
Maanta nahi haar kyonki
Tu hi sabse hard hai (haan, tu hi sabse hard hai)
Darta yeh dil tujhe khone se (aa, khone se)
Aa, darta yeh dil tujhe khone se (khone se)
Darta yeh dil tujhe khone se
Tu chahiye, fark nahin kisi ke na hone se
Aa, pyaar milta mujhe har ek kone se
Jaisa karta pyaar main, tujhe karega kaun aise?
Haath mein nahi rehta mere phone aise
Sapne poore hote nahi sone se
Isliye jaag ke jee raha hoon khwaab
Kuchh to bologe aap,
Ussi ik cheez ke main itezaar mein
Kuch to bolo!
Iss rishtey mein sabse zyada yakeen hai,
Sirf tere pe rakhela aitbaar main (sirf tere pe)
Tujhe bharosa nahi hora is pyaar mein
Shayad iss duniya ne tujhe bahut hai sataya
Pyaar karne wale hote hain is zamane mein
Yakeen dilaane tujhe haan isliye main aaya
Haan mujhe pyaar hai
Sir pe tu sawar hai
Maanta nahi haar kyonki
Tu hi sabse hard hai (haan, tu hi sabse hard hai)
Haan mujhe pyaar hai,
Sir pe tu sawar hai
Maanta nahi haar kyonki
Tu hi sabse hard hai (haan, tu hi sabse hard hai)
Darta yeh dil tujhe khone se (khone se)
Aa, darta yeh dil tujhe khone se (khone se)
Darta yeh dil tujhe khone se
Tu chahiye, fark nahin kisi ke na hone se