Tanha Dil Tanha Dil!
Yuhi bewajah kyu udaas hu
Jaane kaisi ye pyaas hai
Koyi pooch le kya jawab du
Aakhir yeh kya ehsaas hai
Hain saath mere saare woh apne
Apno mein mere bas main shamil nahi
Rahein khuli hain hai carawan bhi
Chal toh raha hoon main be-manzil kahi
Tanha Dil Tanha safar
Dhunde mujhe phir yeh nazar
Tanha Dil Tanha safar
Dhunde mujhe phir yeh nazar
Tanha Dil
Khushiyon se rishta
rishton ke vaaste
Mujhko Fir hoga jodna
Iss dard ko seene mein
lekar kab talak chalun
Iss dard ko peeche hai chodna
Sharmindagi ke parde gira ke
Mangu sahara raahein khul jaayengi
Karlu yakin jo ab zindagi mein
Jeene ki Fir se wajah mil jayegi
Tanha Dil Tanha safar
Dhunde mujhe phir yeh nazar
Tanha Dil Tanha safar
Dhunde mujhe phir yeh nazar
Tanha Dil