Maine khaabon mein tumhara
Noor dekha hai
Dil ne bhi tumko kahin toh
Zarur dekha hai,
Main roz tera chehra sunehra,
Aankhon mein leke jagaa,
Kya jaanta tha, tu bhi tha mera,
Ab jo mila toh lagaa.
Der si hi sahi magar tu mila
Mila toh hai na,
Dheere-dheere sahi magar fasla,
Mita toh hai na (x2).
Tujhse kisi bhi bahane
Main roz milta rahun,
Khud ko bhi main jaan lunga,
Jo main tujhe jaan loon,
Tu dikhaye dekhe nigahein
Tu jo sunaye sunoon,
Saanson ki hai ab kisay zarurat
Tere bharose jiyoon.
Dair si hi sahee magar tu milaa
Mila toh hai na,
Dheeray-dheeray sahee magar faasla,
Mitaa toh hai na (x3).
Rehne lagaa aajkal hoon
Main paas itna tere,
Saari teri aati-jaati
Main gin sakun dhadkane,
Aankhon mein teri raatein khatam ho
Baahon mein ho har subha,
Phir bhi na apni, baatein khatam ho,
Chalta rahe silsila.
Der si hi sahi magar tu mila
Mila toh hai na,
Dheere-dheere sahi magar fasla,
Mita toh hai na (x2).