Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Ye Mujhko Girate Hain Kyon Aksar
Jo Khud Ko Utha Bhi Nahi Sakte
Ye Rishta Banate Hi Kyon Hai Jab
Rishta Nibha Hi Nahi Sakte
Jeena Toh Padta Hai Sabke Liye
Jaldi Toh Mar Bhi Nahi Sakte
Begaano Se Tum Ladh Sakte Ho
Apno Se Ladh Bhi Nahi Sakte
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Bachpan Bhi Kitna Suhana Tha
Bas Maa Ko Gale Se Lagana Tha
Takleefein Jitni Bhi Ho Chahe
Thoda Rona Tha Aur Bhool Jaana Tha
Raste Wahin Hain Safar Hai Wahi
Kisi Ko Kisi Ki Qadar Hi Nahi
Aayein Hain Shehron Mein Bekar Hum
Gaon Mein Hi Reh Jaana Tha
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Banane Wale Tune Kya Kar Diya
Bhai Se Bhai Jhagadhta Hai
Paisa Nahi Hai Jis Shaqs Pe
Har Shaqs Ussi Se Akadta Hai
Zindagi Tera Hai Karz Bada
Ye Karz Chukana Padta Hai
Mili Muft Mein Zindagi Tu Magar
Paisa Kamana Padta Hai
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge
Zindagi Tu Aana Ik Shaam Milenge
Tujhse Hi Teri Shikayat Karenge