Humne kiye aise sawaal
Jinka mila naa jawab unse
Toot gaya mera jahaan
Jisko dhaage se banaya bunke
Ajnabi huye woh
Joh kabhi the apne
Aye naa fir kabhi
Milne mudke woh
Hum rishte kya hi rakhte
Na-dani, Na-samjhi
Unki ya kuchh bhi kehlo
Humko bin kahe alvida
Woh hue laapata
Ab dhoondhein kahaan hum
Unke nisha
Woh hue laapata
Na duri kate – hain darmiyan
Ab haar ek aayine mein
Main tera hi aks hai
Tera ruthke chale jaana
Kyoon bada bewaqt hai
Tera chehra nigaahon mein
Kuch aise rakhke chala hun
Mukhtasar naa bhi ho manzil
Main tera banke raha hun
Tum kahi dur…
Chale gaye ho
Yeh kyoon hua hai
Mujhko chur…
Kar chale chuke ho
Yeh sab kya hai
Woh hue laapata
Ab dhoondhein kahaan hum
Unke nisha
Woh hue laapata
Na duri kate – hain darmiyan
Ajnabi huye woh
Joh kabhi the apne
Aye naa fir kabhi
Milne mudke woh
Hum rishte kya hi rakhte
Na-dani, Na-samjhi
Unki ya kuchh bhi kehlo
Humko bin kahe alvida
Woh huye laapata
Woh huye laapata.